SHAIRY ( GHAZAL / POETRY )
     
My_Home_Page

My-Introduction

Photo Page

My Favorite Links

Contact_Twinkle

A Lot of things here.

Guest Book Page(your comments)

Eng_poetry(1)

Eng_poet(2)

Coming_Soon

My Urdu ghazals

Urdu_( poetry )

 

************** SHAIRY *****************
SHAIRY ROOH KI GHAZA HOTI HAY AIK AISA SAKOON
JO YAHA MUSHKIL SE MILTA HAY AUR AGAR MIL JAY
TO US KA IHSAS NAHAYAT KHOBSORAT HOTA HAY HER
KOI ISAY SAMAJHNEY KI SALAHIYAT NAHEE RAKHTA
AUR JISAY ISKA IHSAS HOTA HAY WO AIK NATURAL
INSAN HOTA HAY DUNIYA KO DIFFERENT ANGLE SE
DIKHTA HAY AISA INSAN KHUD BAKHUD AIK ACCHA
MUKAMAL INSAN HOTA HAY JIS MEY AIK REAL INSAN
KI HER CHEEZ HOTI HAY LEKIN AJ KAL AISA INSAN
BOHAT KAM HI MILTA HAY AIYEE HUM MIL KER IN
SUB KO AIK AISA INSAN BANANAY KI KOSIHK KERAY
JO IS DUNIYA PER AMAR BUM JAY KIO KE BEHATREEN
INSAN WO HOTA HAY JO DOSROO KEY KAM AIY

****WE WISH U ALL THE BEST IN NEAR FUTURE****

***SHAID MERI SHAIRY****
***MERY SHAIRY***

Ye mani bhee ajab hay mujhe jeena sikhati hay
meri umeedo ko meray khoon se bujhati hay

mitti ke kheloanay ko pani me na bhegoo
ye to wo aik ass hay jo mujhee rulati hay


Us ney jo dar per aa kar muskara dia ho ga
bichar ker zaroor ro dia ho ga
itna aasa nahee hay mujhee bhulana
us ney shaid khud ko mita dia hoga

Jhuk ja qalam meri ruswaiu ke bad
mera sanam aa raha hay meri raakh jalanay ker baad

Rashkey ibrat rasm-e-wafa kia khoob tum ney nibhaya
moot ke bad bhee rooh iztarab ko kahee cheen na paya

Nazar mila kar bhool janay walay
her nazroo me likha hay namm mera

Nazar mila ker be rukhee dikhanay walay
najanay ki kio meri mitti se mohabbat
wo mukh ko bhula betey thee
lekin me nay na ki un se furqat

Me apni hasratoo ka khud khoo kar bheeta ho
saray zakham thee haray aik aur day guy hay
jo agg ab lagi hay me khud jal raha hoo
tum kio aay saathey me bewafa ho zamana

Me youhi hasraatoo ka pekar nahee loogoo
ye tumharay hi kheloanay hay jisse me khelta hoo

Shaid accha hi kia mohabbat na ki kabhee
phelay khud jal rahe the ab mujhee jala rahe hay

Likhtay hey jub hum jhuk jata hay kalam
Ye is ka hay fazal na janay hamari nazar me kai hay

Karo izhar kesay abhe tajarba nahee hay
tum aashiqo se poocho jinhe apna pata nahee hay

Hamay to qeed kar kay apni rago me dora rahe ho
ye khoon asal me wahi hay jis se hamee naha rahe ho

Kio inko samajh beetha nazar me apnay muneer
hotay hoye bhe apnay lagtay ho jo paray

Jita hay jis ke lia marany ki arzoo me
meri khaak ko ura kar aglay janam per roy

Meri hasratoo ko jo mita ker sooye
farq sirf itna tha wo waha ja ker rooye
hum yaha aa ker rooye

Karoo izhar kesay sharam ki ijazat nahee hay
samjha inko raha ho jinkey pass sharam nahee hay

Talib ko talb matloob nahee hay zamin
ue is ka hi karishma hay be hisab khudawandi hay

Hum ko us per majroo na ker
zindagi ko moot se mehroom na kar

Gar na ho kiran to shafaq dundhla hay
wo shaid isi abar me chupa hay
me jisay doondhta ho shaid mujh se juda hay
phir bhe wo meri nazro me pinha hay


Me in se wafa ki umeed karta ho kis lia
meri hasratoo ko mita kar bhe wo khush nahee

jhuk ja qalam adab se meri ibarat ke saamnay
teri nazuk nok talay meri wafa ki umeed hay


wirtten by twinkle*
APP KI PASAND~~~

Mujhee rang e khud ke chupa ker bhee
meray khiloo ko mujh se chura kar bhee
be wafa kahi sukoo paye na kahee
meri hasratoo ko mita kar bhee

Wo chaahatoo ke dareechee wo ghammo ke bazar
rakhta hoo me bhee sar dar per nahee hay qarar

Gar chaa justajooo hay talib rah guzar ki
teri rahoo me kis nay dhool jookhe hay
jisay to badal kehta hay usi me to hum chupay hay

Tukra tha wo kaghaz ka simat ker jisay badal
me bhee to inhi badli me kehta ho usay afzal
wo tareeki thi ya rooshni kiran ne shaid aa kar kaha
me khud aik noor ho jhaak ker daikh to zara

Hay wo kora kaghaz nuqtay ka mohtaj
paki me rakhta hay aik nuqs ka khawab
nadani nahee janay aqalmand to hay danish
me to aik tukra hao per nuqtay ka hay aib


Raat aik dunia thi ujalay ki qasam
justajo ka ho talib qadam ba qadam

Apni manzilo ka tayoon khud me ney hi kia hay
kio key mohabbat ho mujhe kathan rastoo say

Likhta ho ultay haath se tujhee yaqeen nahee aya phir bhee
teri hi tareef karta ho tujhee yaqeen na aya phir bhee

Ab to naseeb me wo bhee nahee hay shaid
jis ko tum kaha kartay thee kay wo shaid

Mera diwancha hay kahli teray diwanche ki tarah
isay kaisay bhilay jo hay rook ki tarah

Nazar ko teri ab bhee mera salam hay aur rahh guzar
pathar samajh kar bhee jo thokar laga gia

Jin lafzoo ko mita kar shaid me kush ho
in ko koi mita kar bhee mita nahee saka.

Garoob aftab ka jo manzar daikha
usi rooz se tujh ko rab se manga tha

Gherat in aqedat mando ki kia kahayee
mangtay ye bhe hay per andaz bia aur hay

Ai rab in hasratoo ko khud hi dalta ho
aur hum se kehta hay mita na sakoo gay

Mera diwancha hay muktasar
per tujhe kora kaghaz perhney ki adat nahe
meri nazar me hay aik dunia
per tujhee jeeney ka saleeka hi nahee

Moot se phelay zindagi ka
sham se phelay subha ka
waqt se phelay guzarnay ka
manzil se phelay rastay ka
zair se phelay zabar ka
tayeeon kar.


Me in kaghazoo ko kio na mitao logoo
jinko meray aansoo ne guzarnay se bhee rook dia

kahli kaghaz daikh ker soochta ho kush rahoo ga
jab yad kisi ki aiigi usi ko perh lia karo ga

Ye kaghaz hay dhundley
ya meri anko me noor nahee
to noor hay sarapa
tujhee perhnay ki zaroorat nahee
ab na kehna ke mujh se likho muneer
apni hasratoo ko jisney mita dia tha


~~~HAY!THIS IS MY QUESTION!~~~~
Mera sawal(?)

Na azal maangta ho na abad mangtaa hoo
me tujh se sabaq ka ik shafaq mangta hoo

Jis zarray me di hay kiran ko hasti
me tujh se wo apna shaid ghar mangta hoo

Na urroj doondhta hoo na zawal-e-fikar hoo
me tujh se teri nazar ka ik sabak mangta hoo

Bhula dia inho ne gar tha wo aik saaz
me tujh se isi saaz ka aik shajar mangta hoo

Na bhooka ho dar ka per zar chaata hoo
teri basti me reh kar ik teri fikar chaata hoo

Na azal maangta ho na abad mangtaa hoo
me tujh se sabaq ka ik shafaq mangta hoo

WRITEN BY TWINKLE(*)

 
   
 

THINK ABOUT WHAT IS LIFE WHY IS LIFE AND HOW IS LIFE!